Tukdon tukdon mein
bat-ti Yeh Zindagi
tukdon tukdon mein
kat-ti Yeh Zindagi,
Har roz sambhalta
hoon mein isko
phir bhi bikharti Yeh
Zindagi
Tooti mala ke moti
jo,
Dhoondo to phir bhi
kuchh to gum
ho hi jaate hain
jaise,
Waise hi kuchh tukdo
se kam
ho hi gayi hai Yeh
Zindagi
Baadalon se ghire
aasmaan mein
jaise chand ki jhalak
dikh jaati hai,
Waise hi reh reh kar
mujhko bhi
kuchh aas kabhi bandh
jaati hai
Koshish karta hoon
mein aksar
ki haath badha kar
chhoo loon tumko,
Jab haath lagaya to
pata chala ki
paani mein chand ka
aks ho tum
Phir aankh meri khul
jaati hai
aur reh jaata hai
sannata,
Kuchh to jo maine
baant diya
aur kuchh nahin
baanta jata
Per sooraj phir se
chamkega
yeh baadal bhi chhat
jaayenge,
Aur mein phir se yeh
boloonga
Waah, tujhko salaam
hai Aey Zindagi! :)
© Vikas Singh and Surreal Aberrant, 2008-2013.
1 comment:
Reading the title seemed to remind me "Ye Zindagi jo aksar imtihaan leti hai" and bla bla... But lo..ye toh kuch aur hi nikla...
Good piece!! :)
Post a Comment