Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Sunday, January 6, 2013

Yeh Zindagi




Tukdon tukdon mein bat-ti Yeh Zindagi

tukdon tukdon mein kat-ti Yeh Zindagi,

Har roz sambhalta hoon mein isko

phir bhi bikharti Yeh Zindagi



Tooti mala ke moti jo,

Dhoondo to phir bhi kuchh to gum

ho hi jaate hain jaise,

Waise hi kuchh tukdo se kam 

ho hi gayi hai Yeh Zindagi



Baadalon se ghire aasmaan mein

jaise chand ki jhalak dikh jaati hai,

Waise hi reh reh kar mujhko bhi

kuchh aas kabhi bandh jaati hai


Koshish karta hoon mein aksar

ki haath badha kar chhoo loon tumko,

Jab haath lagaya to pata chala ki

paani mein chand ka aks ho tum


Phir aankh meri khul jaati hai

aur reh jaata hai sannata,

Kuchh to jo maine baant diya

aur kuchh nahin baanta jata


Per sooraj phir se chamkega

yeh baadal bhi chhat jaayenge,


Aur mein phir se yeh boloonga

Waah, tujhko salaam hai Aey Zindagi! :)



© Vikas Singh and Surreal Aberrant, 2008-2013.

1 comment:

Anonymous said...

Reading the title seemed to remind me "Ye Zindagi jo aksar imtihaan leti hai" and bla bla... But lo..ye toh kuch aur hi nikla...
Good piece!! :)