Har roz ki tarah Sooraj aayega aur tum chale jaoge;
Kya kabhi aisa bhi hoga ki Sooraj bhi hoga aur Tum bhi aaoge.
Raat ke darwaaje per tumhari yaadein dastak deti hai;
Darwaaja nahin khola, jaanta thaa wahaan tum nazar aaoge.
Umr bhar tinka tinka jod kar banaye thee ek duniya;
Samandar ke paas aaya aur beh gaye saare tinke;
Kuchh to waapas samet paaya, kuchh ret ke neeche dab gaye, kuchh beh gaye paani main;
Kya tum un bache hue tinko ko kabhi waapas jod paaoge.
Tum nahin they to sab 'theek' thaa;
Tum aaye to usse behter kuchh bhi nahin;
Tum gaye to sirf ek sawaal chhodh kar;
Kya tum sab kuchh waapas sirf 'theek' kar paaoge.
Suna hai zindagi kabhi kisi ke liye rukti nahin hai;
Tumhe dekh kar lagta ki ismain kuchh galat bhi nahin hai;
Sawaal hai to bas yahee ki mere liye aisa kyun nahin hai;
Kya tum kabhi mere is sawaal ka jawaab de paaoge.
Ek pal ya ek umr kya hoti hai yeh zindagi;
Har sawaal ke liye ek jawaab de deti hai yeh zindagi;
Band aankhon ke sapne ya khuli aankhon ka sach, kya hoti hai yeh zindagi;
Gujra hua kal jo saath tumhare thaa, ya aane aane waala kal jisme sirf yaad hai tumhari?
Kya hoga iska jawaab, kya tum samjha paaoge.
Har roz ki tarah Sooraj aayega aur tum chale jaoge;
Kya kabhi aisa bhi hoga ki Sooraj bhi hoga aur Tum bhi aaoge...
~ ~ ~ ~ ~
© Vikas Singh and Surreal Aberrant
4 comments:
Beautiful and melancholic...
Thanks a lot. By the way I read your writings. U write awesome :-)
Na jaane kab se ye aankhein taras gayi hain
Chahte they paana kya kuch tab
Magar chahatei mit gayi hain ab
Aur reh gayi bas ye khaali siskiyaan .
This takes one to a very different zone. So deep; so real!
Post a Comment